Kaise batayen aur kisko batayen ki kaisi thi wo mulakaaten jin me pyaar chupa hota tha,kaisi thi wo hasraten jis me deedar chupa hota tha,kaisi thi wo raahen jin me intezaar chupa hota tha ,kaisa tha wo sparsh jis me ahsaas chupa hota tha,kahan chali gai wo raaten jin me tumhare sapno ka saamna hua karta tha , kahan gai wo barsaaten jin boodon ko bhi shayad intejaar hota tha hum dono ko ek doosre ke karreb aate hue dekhne ka, un sapno ko sajate aur dekhte hue dekhne ka wo bade- bade vaade vo saath rahne ki kasme .
Aaj bhi sab kuch waisa hi hai BAS EK TUM NAHIN HO!
“Saji nahin baarat to kya aayi na milan ki raat to kya,pyaar kiya teri yaadon se gathbandhan tere waadon se.”
“Tune apna maan liya hai hum the kahan is kaabil,wo ahsaaan kiya jise bhulana hai muskil .Deh bani na dulhan to kya pehne nahin kangan to kya.”
“Tan ke rishte toot bhi jayen toote na man ke bandhan, jisne diya humko apnaapan usi ka hai ye jeevan,Baandh liye man ka bandhan jeevan hai tujh par arpan.”
BIN PHERE HUM TERE.